Free blog Website kaise banaye

Hello friends mera name hai MG.... Dosto aaj ki es post me hm bat karege ki hm blog kaise bnaye. Dosto agr aap blog bnana chahte hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai aap is post ko poora read karke boht hi aasani se blog bana sakte hai....

Dosto Website or blog me kafi difference hai to chaliye hm inke bare me bat karte hai....


Website :- Website ek site hoti hai jese Google, facebook or bhi boht sari website hoti hai jinka bs ek hi kam hota hai. jese facebook, ham facebook se apne friends se bat kar sakte hai photos vgera send kar sakte hai....



Blog :- Blog ka hm alg -alg tarike se use kar sakte hai jese kisi product ko promote karne ke liye or bhi boht sare jese apne knowledge ko share karne ke liye ese bhi boht sare kam kar sakte hai hm blog ke jariye....


Note :- Dosto is post me hm sirf blog create karege agr aap website create karna chahte hai to is post ko read kijiye....


Chaliye Dosto free blog Create hai....


Step :- 1. Sabse pahle is link par click kare....

                                    https://www.blogger.com

 
Step :- 2. Ab yha CREATE YOUR BLOG par click kare or fir apni Gmail id or Password enter karke login kare....


Step :- 3. Ab yha display name me apna name likhe or fir continue to blogger par click kare....


Step :- 4. Ab yha create new blog par click kare....


Step :- 5. Ab aapko apne blog ko cereate karna hai....
1. Sabse pahle yha TITLE me apna title likhe jis subject par aap blog banana chahte hai uska name likhe....
2. Ab yha Address me aapko ek unique name dena hai jo pahle kisi blogger ne nhi diya ho agr aapne unique sahi se enter kar diye to ye available btayega agr unique name nhi  diya to ye unavailable batayega....
3. Ab yha se aap ak theme ko choose kar lijiye template aapko blog ka ek design deta hai template ko aap bad me bhi change kar sakte hai....
4. Ab yha Create blog par click kare....


Step :- 6. Ab aapka blog free sub-domein ke sath create ho gya....



Dosto meri ye post aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye or agr aapko blog create karne me koi problem aa rahi hai to aap mujhe comment karke jarur bataye....


Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap es post ko like or apne Friends ke sath or social media par share jarur kare or mujhe instagram or facebook par follow jarur kare....

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने