Flight ticket kaise book kare हवाई जहाज की टिकट कैसे बुक करे

Hello dosto mera name hai MADANGOPAL/MG..... dosto aaj ki es post me hm bat karenge ki hm IRCTC website se online flight ki ticket kaise book kar sakte hai....

Dosto aaj hm IRCTC se Low cost me flight ticket book karenge dosto bahut se log IRCTC ke bare me ye jante hai ki ye sirf train ticket book karne ki site hai par aesa nhi hai, Dosto IRCTC ki ek or service hai jiska name hai air.irctc jo flight ticket book karne ke liye bnayi  gyi hai. agr aap kisi dusri website par flight ticket book karne ke liye jate hai to vo site ticket price se Rs 100- 300 tak apna service charge leti hai , kyoki vo sari websites goverment ko Tex deti hai isliye vo apne profit ko flight ke orignal price me jod deti hai esliye visitars ko orignal price ke sath sath kafi jyada paisa pay karna pdta hai, lekin jab hm IRCTC se flight  ticket book karte hai to Tex jesi problem nhi rahti hai or IRCTC hmse sirf RS. 50 apna service charge leti hai.......
Online IRCTC se Flight ticket book karne ke liye kya kya chahiye.....

1. Aapke pass computer, laptop ya smartphone hona chahiye.......
2. Aapke pass internet connection hona chahiye......
3. Aapke pass Debit card ya Credit card ya Net banking teeno se koi aek hona cahiye vo bhi........

1. Debit card aapke pass Bank Of India, bank of baroda Or Union Bank Of India me se kisi aek ka hona chahiye......
2. Credit card aapke pass ICICI Bank, CITI Bank Or HDFC Bank me se kisi aek ka hona chahiye......
3. Net baking  ke liye aapke pass  ICICI Bank, HDFC Bank, Corporation Bank, SBI Internet Banking, Indusind Bank, Bank Of India, Union Bank Of India, Bank of Baroda or IDBI Bank me se kisi aek bank me net banking activate hona chahiye.... Agr aapke pass enme se kisi ek bank me bhi account nhi hai to aap air.irctc se low cost me online ticket book nhi kar sakte hai......
Chaliye dosto ab hm IRCTC se flight ticket book karte hai.....

Step 1: Sabse pahle aapko es link par click karna hai.......
                       www.air.irctc.co.in                
Indian railway flight book status par visit karne ke bad ab aapko yaha par apna journey details dalna hai........
Step 2: Esme aapko apni ditails fill karni hai......
1. Agr aapko india me kahi jana hai tb to Domestic select kare agr aapko india se bahr jana hai kisi dusre country me to aap International select kare......
2. Agr srif jane ka ticket lena hai tb to One way ko select kar lijiye.......
3. Agr aane jane (returning) ka ticket chahiye to Round trip ko select kar lijiye......
4. Jaha se jana hai us city ka name fill kare.......
NOTE-- jis city ka name fill kar rhe hai us city me airport hona chahiye......
5. Jaha jana hai us city ka name fill kare......
6. Jis din jana hai us din ki date select kar lijiye......
7. 12 sal se upar ke aadmi ka ticket book karna hai or kitne aadmi ka book karna hai vo esme select kare.......
8. Agr 2 se 11 sal ke bich ke bachche ka bhi ticket book karna hai or kitne bachcho ka book karna hai vo esme select kare.......
9. OR agr 2 sal se kam umar ka bhi bachcha hai to vo esme select kare......
10. Aapko kis class ka ticket book karna hai agr Normal ticket chahye to Economy hi rhne de agr aap business main hai to Business select kar lijiye......
11. Airline Preference me All airline hi rahne dijiye......
12. Ab aek bar sari diteils check kar lijiye or fir search par click kar dijiye......
Step 3: Ab aapke samne flight ki ditails open ho jayegi esme aapko jis flight ka ticket book karna hai vo book kar sakte hai.....
1. Ye flight ki company ka name hai......
2. Ye vo city hai jaha se aapko jana hai or jaha se flight udegi......
3. Ye flight ka time hai jis time flight udegi.....
4. Ye vo city hai jaha aapko jana hai aapka last airport .....
5. Ye vo time hai jis time aapko flight aapke last airport par pahuchayegi......
6. Etne time tk aapko flight me trevling karni hai.....
7. Agr  0 stop hai to direct pahuchayegi agr 1 ya 2 stop hai to fir ruk kar pahuchayegi.....
8. Ye ticket ka price hai......
9. Ab aap jis flight ka ticket book karna chahte hai uske book par click kar dijiye......

Step 4: Ab aap enhe check kar lijiye or ditails fill kar lijiye........

1. Flight, Departs, Arrives, Duration, Class,or total price check karle.
2. Ab aap (I have checked all journey details, read and accepted the User & Airline Agreement) ko select kar lijiye........
3. Ab aapke pass IRCTC ka account hai to (I have IRCTC User ID & Password) ko select kar lijiye or apne IRCTC ke username or password ko yha dal dijiye.......
4. Ab aap continue par click kar dijiye......
5. Agr aapka IRCTC me account nhi hai to aap Guest User ko select kar lijiye or apna Email id or mobile no. dal dijiye......
6. Ab aap continue par click kar dijiye.....
Step 5: Ab aapko apni ditails fill karni hai.......
1. Yha title select kar lijye......
2. Yha first name enter kar dijiye.....
3. Yha last name fill kar dijiye.....
4. Yha fir se first name enter kare......
5. Yha fir se last name fill kare......
6. Yha apna address fill kare.......
7. Yha apna city name fill kare......
8. Yha apna state name enter kare.......
9. Yha pincode fill kare.......
10. Yha country name fill kare.......
11. Yha apni mail id dale.......
12. Yha apna mobile no. dale......
13. Yha apna landline no. dale agr landline no. nhi hai to ese khali chhod dijiye......
14. Ab aap (I agree to pay the Final Amount + Applicable Payment gateway charges) ko select kar lijiye jb aap ese select karoge to aapke samne aek popup window open hogi jisme aapko OK par click karna hai........
15. Ab aek bar apni ditails check kar lijiye or Make Payment par click kar dijiye.......
Step 6: Ab aapko ticket ka payment pay karna hai......
1. Agr aap credit card se payment pay karna chahte hai to credit card par click kar dijiye.....
2. Agr aap Net banking se payment pay karna chahte hai to net banking par click kar dijiye.....
3. Agr aap debit card se payment pay karna chahte hai to debit card par click kar dijiye.....
Agr aap Credit card or Debit card se payment karte hai to aapke samne kuchh es parkar ke options aayenge jinme aapko es parkar se ditails dalni hai......
1. Esme aapko ATM card ke no. dalne hai......
2. Esme aapko card ki Expiry date select karni hai......
3. Esme aapko card ke CVV no. dalne hai jo card ke back side teen anko me hote hai.....
4. Esme aapko uska name dalna hai jiske card se aap payment kar rahe hai......
5. Ab aapko Buy par click karna hai.....
Jb aap buy par click karoge to card se linked mobile no. par aek OTP aayega jise aapko OTP box me dalkar confrm par click karna hai jab aap confrm par click kroge to aapka payment successfully pay ho jayega......
Agr aapne net banking par click kiya hai to aapke samne aese options aayege jinhe aapko es parkar se fill karna hai.......
1. Yha par apna username dale......
2. Yha par apna password dale......
3. Ab login par click kar dijiye......
Jb aap login par click karoge to net banking se linked mobile no. par aek OTP aayega jise aapko OTP box me dalkar confirm par click karna hai jab aap confrm par click kroge to aapka payment successfully pay ho jayega......
Step 7: Payment pay karne ke bad IRCTC ki tarf se aapko {congratulation you have successfully booked a ticket your transaction id no} ka message show hoga...
Esme aap apni flight details dekh sakte hai or agr aap apni ticket ka print nikalna chahte hai to print ticket par click karke nikal sakte hai......or ticket book ho jane ke bad ticket details aapke mobile no or mail id par IRCTC ki tarf se bhej di jayegi......
Chaliye dosto ab bat karte hai ki book kiya hua flight ticket ko cancel kaise karte hai.......

Dosto agr aap kisi vjah se flight ticket cancel karna chahte hai to aap boht hi aasani se cancel kar sakte hai......
Dosto jab aap online IRCTC ki ya kisi or website se ticket book karte hai to vo aapse aapki mail id mangti hai or fir usi Email id par aapki book ki hui ticket ki details send kar deti hai or us email par e-ticket print or Cancel / Change My booking ka option hota hai aap us link par click karke apna ticket id dal kar cancel or change kar sakte hai.........

Step 1: Sabse pahle aapko es link par click karna hai.......
               www.air.irctc.co.in          
Step 2: Ab aap apna IRCTC username Or password dal kar login kar le.......
1. Ab aap My account par click kare......
2. Ab booked Ticket par click kare......
Step 3: Booked ticket par click karne ke bad aapne jitne bhi air ticket book kiye hai vo show honge.....
1. Ab aap jis ticket ko cancel karna chahte hai use select kar lijiye.....
2. Agr aap ticket ka printout nikalna chahte hai to print ticket par click karke nikal sakte hai.....
3. Ab aap cancel ticket par click kar dijiye......
4. Ab aap cancellation me pahuch jayenge.......
Step 4: Ab aap cancellation me pahunch gye hai......
1. Ab aap select segment ko select kar lijiye......
2. Ab aap select passenger ko select kar lijiye......
3. Ab aap cancel Ticket par click kar dijiye......
Jb aap cancel ticket par click karoge to aapke samne aek popup window open hogi jisme warning aayegi ki kya aap apni ticket ko cancel karna chahte hai esme aapko ok par click kar dena hai, ab aapka ticket cancel ho gya hai, aapka paisa aapke bank account me 1 week ke andar pahunch jayega......

Dosto meri ye post aapko kaise lagi comment karke jarur btana agr aapko ticket book karne ya cancel karne me koi problem ho rhi hai to aap mujhe comment karke puchh sakte hai....

Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap ese like or share jarur kar dijiyega thanks.......

10 टिप्पणियाँ

Any Problem Ask Me...

  1. Flights tickets from usa to India

    Are you searching the best Flight tickets to USA from Chennai? Flyoseas.com provides the best Flight tickets to USA from Chennai, India with affordable price.

    https://www.flyoseas.com/flights.html

    जवाब देंहटाएं
  2. Thank you very much for your valuable information. can you help me in finding out more detail on flight ticket booking

    जवाब देंहटाएं
  3. Thank you for sharing such great information. can you help me in finding out more detail on flight ticket booking

    जवाब देंहटाएं
  4. It become an attractive part of a blog when author uses indirect speech while writing a blog. It shows your creative mind as well as make your written essay different from others.
    SALMON BOOKS

    जवाब देंहटाएं
  5. Thanks for picking out the time to discuss this, I feel great about it and love studying more on this topic. It is extremely helpful for me. Thanks for such a valuable help again. Air Ticket Booking

    जवाब देंहटाएं
  6. I can see that you are an expert at your field! I am launching a website soon, and your information will be very useful for me.. Thanks for all your help and wishing you all the success in your business.
    Flight booking online

    जवाब देंहटाएं
  7. Hi there. Very cool site!! Guy .. Beautiful .. Wonderful .. I will bookmark your website and take the feeds additionally…I am glad to locate so much useful info right here in the article. Thanks for sharing… why not look here

    जवाब देंहटाएं
  8. Therefore dissertation web-sites with the aid of the on-line world to bring about protect seemingly announced on your website online. girnar ropeway per person price

    जवाब देंहटाएं
  9. It is surprising how with a little planning, forethought and flexibility, how easy it is to find an affordable airline ticket and go for that trip you always wanted without destroying your bank balance. You don't need to have a friend or a relative who works for the airline industry to be able to get that discounted airfare you have always wanted. If you follow some of these simple tips you shouldn't have to pay inflated prices for a flight ever again. Cheap Air

    जवाब देंहटाएं
और नया पुराने