Laptop me shareit kaise download kare कंप्यूटर में शेयर इट कैसे चलाएं

Hello dosto mera name hai MADANGOPAL/MG..... Dosto aaj ki es post me hm bat karenge share it ki ji ha dosto aap shareit ke bare me to boht hi achhe se jante honge.....Dosto aaj hm apne laptop/ PC me shareit install karne vale hai.....Dosto shareit jitna jaruri apne mobile ke liye hota hai utna hi jaruri  apne PC/Laptop ke liye hota hai.... Dosto jab hme apne mobile se koi bhi data laptop ya pc me send karna hota hai ya laptop/PC se koi bhi data apne mobile me recive karna hota hai to hme DATA CABLE ki jarurt pdti hai.....lekin agr hmare pass shareit hota hai to hme data cable ki jarurt nhi padti hai or hm shareit ki help se aasani se apne data ko recive or send kar sakte hai....Dosto ab aap ye to jan gye honge ki hmare PC/Laptop ke liye shareit kitna jaruri hai...
Chliye dosto ab hm apne laptop/PC me shareit install karte hai.....

Dosto aapko en steps ko follow karna hai aap boht hi aasani se apne Laptop/PC me shareit ko use kar payenge or Data ko send or recive kar payenge........

Step 1: Sabse pahle aapko es link par click karke shareit ko download or install karna hai.....
                                  https://www.ushareit.com/

Step 2: Ab aap shareit ko open kar lijiye.......

Agr aap shareit ko QR code ke dvara mobile se connect karna chahte hai to yha par click karke kar sakte hai.....
Step 3: Ab aapko apne mobile me shareit ko open karna hai....
1. Agr aap apne mobile se laptop/PC me data send karna chahte hai to SEND par click kare...
2. Agr aap apne mobile me laptop/PC se data RECEIVE karna chahte hai to receive par click kare..
Lekin dosto ab hm mobile se laptop/PC me data send karenge aap send par click karke apne data ko select kar lijiye jo aap Laptop/PC me send karna chahte hai....
Step 4: Ab hm mobile se laptop/PC me data send karenge ......
Ab aap connect PC par click kar dijiye.....
Step 5: Ab mobile PC /laptop se connect ho rha hai.....
1. Agr aapka mobile Laptop ya computer se connect nhi ho rha hai to aap QR code ke dvara connect kar sakte hai eske liye aapko Scan to connect par click karna hai or apne laptop ya computer me jo shareit hai uska QR code scan kar lijiye.....
2. Ab aap Screenshort me dekh sakte hai ki mera laptop mobile me show ho rha hai ab me es pr click kar dunga....
Step 6: Ab aapke laptop ya computer me aek popup window open hogi esme aapko Accept par click karna hai.....
Step 7: Ab file send hona start ho gyi hai....
1. Ab aap sreenshort me dekh sakte hai mobile se file Laptop me send ho rhi hai.....
2. Agr aap mobile se laptop ya computer me or Data send karna chahte hai to yha se kar sakte hai.....
Step 8:
1. Ab aap screenshort me dekh sakte hai ki mobile se send ki gyi file laptop ne receive kar li hai..
2. Agr aap apne laptop ya computer se data mobile me send karna chahte hai to yha se apne laptop ya computer ka data select karke send kar sakte hai.....
Dosto meri ye post aapke lye kaise rahi comment karke jarur btana agr aapko data transfer karne me koi problem ho rhi hai to aap mujhe comment karke bta sakte hai....

Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap ese like or share jarur kar dijiyega thanks.....

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने