Onedrive kya hai ? account kaise banaye डाटा सेव कैसे करे

Hello Dosto mera name hai MADANGOPAL/MG.... Dosto aaj ki es post me ham bat karenge onedrive ki ji ha dosto......Jab bat aati hai data storage ki to aapke dimag me sabse pahle pen drive, hard drive, memory card etc aate honge or aap apne data ko enhi me save rakhte honge.... lekin data ko store rakhe ke liye sabse achha hai cloud storage. cloud storage ki madad se aap apni important files jese ki photo, video or document ko online platform par secure and safe and save rakh sakte hai....
Cloud storage ke liye aap Google Drive, OneDrive, Dropbox, Amazon cloud Drive etc ka estemal kar sakte hai. lekin aaj ki es post me aapko OneDrive ke bare me btaunga or esme apne data ko kaise store kar sakte hai vo bhi btauga....

OneDrive Kya hai?

Ye microsoft ki ek service hai jo ki sabhi microsoft account users ko free me sabhi prakar ke data ko online store, sync or share kanre ka aek aasan trika prdan krta hai. microsoft OneDrive me aap 5GB tak ke data ko store kar sakte hai. ydi aapke liye 5GB storage capacity kam hai to aapko OneDrive ka premium plan purchase karna padega. vese to 5GB tak ka space bahut hai or zyadatar log free plan hi use karte hai. esliye additional space ki jarurat hone par hi premium plan purchase kariye nahi to free plan hi best hai ese hi use kariye. so dosto agr aap onedrive ka labh uthana chahte hai to aapke pas microsoft account ka hona jaruri hai. Agr aapka account microsoft me nhi hai to aap es link par click karke meri es post ko padhkar microsoft account bna sakte hai.....

Onedrive par data kyo save kare......

Dosto jab hmara data mobile, laptop/desktop ya Sd Card me hota hai to risk rahti hai kyoki agr hmara mobile, laptop/computer, SD card chori ho jaye ya kahi kho jaye to ya PC ka Hard drive crash ho jaye to.. aese me aapka sara data loss ho sakta hai. so en mushibato ka samna na karna pade eske liye aapko apne sabhi jaruri documents ko cloud storage me store kar lena chahiye........
eska ye bhi fayda hai ki online server par aapka data save rahne par aap usko kahi se bhi access kar sakte hai. so iske liye aapko pen drive, hard disk etc ko sath me rakhne ki koi jarurat nhi hai........


Chaliye dosto onedrive me apna data save karte hai.....


Step 1- Sabse pahle aapko es link par click karna hai.....

                           https://onedrive.live.com/about/en-in/
Step 2- Ab aapke samne aesa page open hoga.....
1. Agr aapne account nhi bnaya hai to aap yha par click karke account bna sakte hai....

 Microsoft account banane ke liye yha Sign up for free par click kare
2. Agr aapne account bna liya hai ya aapke pass pahle se account hai to aap sign in par click kar dijiye.......

Step 3- Ab aapko apni microsoft id enter karni hai.....
1. Yha par apni microsoft id enter kare.....
2. Ab aap NEXT par click kar dijiye........

Step 4- Ab aapko apna microsoft password enter karna hai......
1. Yha par apna microsoft password enter kare.....
2. Ab aap NEXT par click kar dijiye....


Step 5- Es step ko achhe se follow karke aap apne data ko onedrive platform par store kar sakte hai.....
1. Yha par click karke aap apne onedrive platform par new folder create kar sakte hai...
2. Yha par click karke aap apne data ko yha store kar sakte hai agr folder save karna chahte hai to folder par click kar dijiye agr aap single file save karna chahte hai to files par click kar dijiye....
3. Yha par aap apni files photos shared data ya delete kiya huaa data dekh sakte hai....
4. Yha aap apna storege dekh sakte hai....

Dosto meri ye post aapko kaise lagi comment karke jarur btaye agr aapko account banane ya data ko save karne me koi bhi problem ho rahi hai to aap mujhe comment karke bta sakte hai.....

Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap ese like or share jarur kar dijiyega thanks......

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने