SBI Yono me account kaise open kare

Hello dosto mera name hai MADANGOPAL/MG... Dosto aaj ki es post me hm bat krenge SBI Yono ki..... Dosto agr aap Zero Balance ke sath State Bank of India SBI Yono me apna SBI Digital Saving Account ya SBI Insta Saving Account open karna chahte hai. To ye kam aap bina bank branch gye online laptop/computer ya Mobile apps ke dvara kar sakte hai. Dosto ye kam boht hi aasan hai aap es post ko pura read karke aasani se SBI Yono me account bna sakte hai......

SBI Yono ko India ke Finance Minister Arun Jaitley ne 24 November 2017 ko launch kiya tha. Yono ka full form “You Only Need One” hai. eska main kam Indian Digital Life ko aasan bnana hai. esliye esme banking ke sath sath lifestyle se juda important works bhi kiya ja sakta hai. esliye Yono SBI ka moto “Banking aur Lifestyle dono” hai. esse hm Money Transfer, Balance Janana se lekar Food, Cab, Rent etc facility ka mja le sakte hai......
SBI Yono Me Digital or Insta Saving Account Open Karne ke liye kya chahiye.....

SBI Yono par Digital Saving Account or Insta Saving Account open karne ke liye aapke pass ye hone chahiye agr aapke pass ye sab nhi hai to aap SBI yono me Digital ya Insta saving account open nhi kar sakte hai.....

1. Smartphone ya Computer/Laptop
2. Internet Contraction
3. Age 18 year +
4. PAN card
5. Aadhaar card
6. Aadhar card me Registered Mobile number jis par (OTP) aayega.
7. Email address

SBI Digital Saving Account and SBI Insta Saving Account Me Kya Farak hai or kya fayde hai.....
SBI Digital Saving Account.......

1. Digital Saving account me aapko unlimited paise rakhne ki suwidha milti hai.....
2. Internet banking se aap Rs/-200000 lack tak daily transfer kar sakte hai, or India ke alawa dusre country me bhi online Money transfer kar sakte hai......
3. ATM card se daily (Rs/-100000) Lack tak paise nikal sakte hai.....
4. esme aapko ek Personalized Platinum Debit Card bhi milta hai.....
5. 0 balance me aap es banking services ko use kar sakte hai......
6. 2 Lack tak ki shopping bhi kar sakte hai.....
7. free me Check book aapko nhi milega har Check book ke liye Rs/-10 pay karne honge......
8. 3.5% yearly aapko interest milga, agr aap 1 crore + bank balance rakhte hai to 4% yearly interest milega......
9. aap SBI Internet Banking ya fir Yono ki madad se Account statement check kar sakte hai lekin aapko passbook nhi milegi.....
10. Or es account ko puri tarah Activate karne ke liye aapko apni select ki hui SBI bank branch me jakar aek bar KYC verification karani hogi.....
11. Bank account puri tarah active ho jane ke bad hi aap SBI Digital Saving Account ki sari services use kar sakte hai......
SBI Insta Saving Account......

1. Insta Saving Account me aap (Rs/-100000) 1 Lack tak hi Bank balance rakh sakte hai.....
2. ATM/Debit Card se aap 40,000 tak money nikal sakte hai......
3. Esme account banane par aapko Rupay ka ATM/Debit Card milega.....
4. Esme aap Rs-/200000 Lack tak ka money transfer kar sakte hai......
5. 50,000 Tak net banking se online money transfer kar sakte hai.....
6. Es account me bhi aapko Passbook nhi milega, par aap SBI Internet Banking ya fir Yono ki madad se Account ka statement check kar sakte hai......
7. 0 balance me aap es banking services ko use kar sakte hai.....
8. Free me check book nhi milega check book ke liye aapko Rs 10/- pay karna padega......
9. Or agr aap chahe to SBI Insta Saving Account ko 1 sal ke andar bank branch jakar apna biomatric verification karwa kar Insta Saving Account, ko SBI Digital ya Regular Saving Account me upgrade karwa sakte hai......
10. Or sabse achhi bat es account ko verify karne ke liye aapko bank branch nhi jana padega, Bina bank gye hi aap Insta Saving Account ki sari services use kar sakte hai. ye ek OTP par aadharit account hai, ye account ghar bethe hi activate ho jata hai.....

Aap chahe Digital saving account open kare ya insta Saving account open kare dono ka process same hai, bas Digital Saving ko KYC verification ke liye aek bar branch jana padta hai or Insta Saving account me bina bank branch gye hi full active ho jata hai.....
SBI Yono Par Online Saving Account kaise open kare..


Dosto aap en steps ko follow karke boht hi aasani se account open kar payenge To chaliye suru karte hai ......

Step: 1 Sabse pahle aapko es link par click karna hai.....
                                   https://www.sbiyono.sbi/                                        
Step: 2 Ab aap en dono me se kisi aek par click kar dijiye....

Step: 3  Jab aap Open a Digital Account par click karoge to aapke samne aek new popup window open hogi......
1. Agr aapko es service me account banana hai to aap apply par click kare....
2. Agr aap es service me account banana chahte hai to apply par click kare....


Step: 4 Ab aapko enme apni details fill karni hai......
1. Yha apni email ID fill kare......
2. Yha apna mobile number fill kare, Best yhi rahega ki Aadhaar card se jo number link hai vhi number fill kare......
3. Yha SBI Yono ka referal code fill kare, agr aapke pass referral code nhi hai to aap ese khali chhod sakte hai......
4. Ab aap Submit button par click kar dijiye......


Step: 5 Submit button par click karte hi aapke samne aek popup window open hogi jisme likha hoga “OTP has been sent to your registered Mobile Number”  yha aap OK button par click kar dijiye.....


Step: 6 Ab aapke mobile no. par aek OTP aaya hai use fill karna hai......
1. Yha OTP enter kare.......
2. Ab aap submit button par click kar de......

Step: 7 Yha aapko apna password create karna hai, or Security ke liye Question bhi select karna hai or uska answer bhi fill karna hai.....
1. Yha password dale password aapko Capital latter, Small latter, digit or symbol me or vo bhi 8 character me hona chahiye...
2. Yha same password fir se fill kare.....
3. Yha apna security Question select kar lijiye......
4. Yha security question ka Answer fill kar dijiye.....
5. Ab aap aek bar apni details check kar lijiye or fir Submit button par click kar dijiye.....
                            

Step: 8 Ab aapko enhe select karna hai......
1. Agr aapke pass Pan card hai to Yes select kare agr nhi hai to NO select kar lijiye.....
2. Ab aap NEXT button par click kar dijiye......


Step: 9 Ye bol rha hai ki aapko SBI account verify karne ke liye AADHAAR data ko authorised kiya jaye OTP ke dvara.....
1. Ab aap I agree to the above ko select kar lijiye......
2. Ab aap NEXT par click kar dijiye.....


Step: 10 Ab aapko apne aadhar card ko SBI yono se link karna hai......
1. Yha apna Aadhar number fill kare......
2. Ab aap Submit button par click kar dijiye.....


Step: 11 Ab aapke aadhar se registered mobile number par OTP sent kar diya gya hai aap OK button par click kar dijiye.....


Step: 12 Ab aapke mobile no par OTP aa gya hai....
1. OTP ko yha enter kar dijiye......
2. Ab aap NEXT par click kar dijiye......

Step: 13 Yha par aapko apni details fill karni hai aapki kuchh details aadhar card se le li gyi hai or kuchh details aapko fill karni hai.....
1. Yha apna Title select kare.....
2. Yha apna birth city name fill kare....
3. Yha apna birth country name fill kare....
4. Yha citizenship fill kare.....
5. Yha apni nationality fill kare.....
6. Aek bar sari details check kar le or Next par click kar de......


Step: 14 Ab aapko costomer address details fill krna hai 1 se lekar 7 tak ki details aadhar card se le li gyi hai or baki ki details aapko fill karni hai.......

8. Yha apna Sub district select kare.....
9. Yha apne village ka name fill kare.....

10. I have dierent correspondence address ko select kar le......
11. Ab aek bar fill ki gyi details check kar le or Next par click kar de.......


Step: 15 Ab aapko correspondence address fill karna hai, Yha par aap apna same address fir se dal sakte hai.......
1. Yha Ghar ka name number fill kare.....
2. Yha Street Road ka name fill kare.....
3. Yha apne village ka name fill kare....
4. Yha apna pin code no. fill kare....
5. Yha apni city ka name fill kare......
6. Yha apna state name fill kare......
7. Yha apna District select kare......
8. Yha apna Sub District select kare.....
9. Yha apna Village Town select kare......
10. Aek bar fir se apni details check kar le or fir Next button par click kare.....



Step: 16 Ab aapko apna PAN card number dalna hai......
1. Yha apna PAN CARD no. enter kare.....
2. Ab aap Submit button par click kar de......
                    

Step: 17 Ab aapke aadhar card par jo photo laga hai vo yha show hoga ab aap Next par click kar de....

Step: 18 Ab aapko apna Additional Details fill karna hai......
1. Yha Mr. select karke apne father ka first name, Middle name or Last name fill kare.....
2. Yha Mrs. select karke mathor ka first name, Middle name or Last name fill kare.....
3. Agr aap Shadi shuda hai to Married or agr shadi shuda nhi hai to single select kare.....
4. Agr aapka shadi se pahle koi dusra name tha to fill kare.....
5. Yha aap apne Spouse name fill kare agr aap female hai to apne Husband ka name fill kare agr aap male hai to apni wife ka name fill kare.....
6. Yha apna occupation select kare ki aap kya work karte hai.....
7. Ab aek bar apni details ko check kar le or fir Next par click kar de......


Step: 19 Ab aapko apni Annual Income, Education, Religion select karna hai.....
1. Yha aapka Yearly income kitna hai vo select kare......
2. Yha aapne kitni padhai ki hai vo select kare.....
3. Yha aap kis Dharam ko mante hai vo select kare.....
4. Ab aap Next par click kar dijiye......

Step: 20 Ab aapko Nominee Details fill karna hai.....
1. Yha par Nominee ka name fill kare......
2. Nominee ke sath aapka kya relationship hai vo fill kare....
3. Yha Nominee ka date of birth select kare.....
4. Yha nominee ki Age fill kare.....
5. Agr Nominee or Applicant`s ka address same hai to Same as Applicant’s address ko select kar le.....
6. Ab aek bar sari details check kar le or fir NEXT par click kar de....

Step: 21 Ab aapko Select Your Home Branch option me apna bank branch choose karna hai.....
1. Agr GPS se bank branch select karna chahte hai to By GPS par click kare......
2. Agr branch name se bank branch choose karna chahte hai to Enter Locality Name par click kare....


Step: 22 Ab apne bank branch ka name Search By location me dalna hai......

1. Yha apni location ka name enter kare......
2. Ab aapki location show hogi use select kar le......
3. Ab next par click kar de......

Step: 23 Ab terms&condition ka ek popup window open hoga esme aap Read T&C button par click kar de....


Step: 24 Ab aap en Terms & Conditions ko padh lijiye......

1. I’ve read and agreed to the terms and conditions ko select kare.....
2. Ab NEXT par click kar de.....

Step: 25 Ab aapke samne aek popup window open hogi esme aap.....

1. I here by give me consent to receive such information ko select kar le.....
2. Ab NEXT par click kar de.....

Step: 26 Ab aek bar or aapke mobile no. par OTP code aayega use enter karna hai....

1. Yha OTP code Enter kare.....
2. Ab Submit button par click kar de......

Step: 27  Ab aapke samne Debit Card details aa jayega esme aap apna name check kar le or Open Account par click kar de......

Step 28: Congratulation Your account is Opened ab aapka SBI Yono Bank Account Open ho gya hai, or aapke mobile number par Temporary user id and password SMS ke dvara sent kar diya gai hai, ab aap DONE par click kar de.....
Agr aap apne SBI yono account ko check karna chahte hai to aap Temporary user id or password se check kar sakte hai.....
Note:- 1. Agr aapne SBI Digital Saving Account open kiya hai to. aapne jo branch select kiya hai us branch ko visit kar ke SBI Saving account ko use karne ke liye puri tarah verify karva le.....
2. Or agr aapne SBI Insta Saving Account open kiya hai to aap aek sal ke andar apne bank branch jakar es account ka KYC verification karva le kyoki KYC krvane ke bad hi aap SBI bank account ki puri services ka labh utha payenge......


Dosto meri ye post aapko kaise lagi comment karke jarur btaye or agr aapko SBI yono account opening me koi problem ho rhi hai to aap mujhe comment karke btaye......


Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap ese like or share jarur kar dijiyega thanks.......

6 टिप्पणियाँ

Any Problem Ask Me...

  1. उत्तर
    1. Customer care helpline number.
      __7063539605
      Any problems call my agent (24*7) hours available
      Contact hair
      Toll free -1800300800
      Contect hair-8670530538
      Online problem balance deducted and balance pending and any problems call my assistance
      Contact hair-7063539605

      Head office Number -9958429949
      Online
      All-india contact hair all thise number
      Contact hair-7047303458
      __
      Customer care helpline number
      Contact hair-8436046948-7478897537

      _____

      हटाएं
    2. Customer care helpline number.
      __7063539605
      Any problems call my agent (24*7) hours available
      Contact hair
      Toll free -1800300800
      Contect hair-8670530538
      Online problem balance deducted and balance pending and any problems call my assistance
      Contact hair-7063539605

      Head office Number -9958429949
      Online
      All-india contact hair all thise number
      Contact hair-7047303458
      __
      Customer care helpline number
      Contact hair-8436046948-7478897537

      _____

      हटाएं
और नया पुराने