Window defender kya hai kaise on kare

Hello Dosto mera name hai MADANGOPAL/MG.... Dosto aaj ki es post me hm bat karenge ki Windows Defender kya hota hai or ese hm apne computer ya laptop me kaise use kar sakte hai. Dosto agr aap apne computer ya laptop me Windows Defender use karna chahte hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai aap es post ko poora read karke Windows Defender ko apne computer me Active kar sakte ho....
Windows Defender kya hota hai.....

Dosto Windows Defender aek parkar ka anti-virus hota hai jo hmare computer ya laptop me pahle se install hota hai ese hme kahi se download karke install nhi karna hota hai. Dosto Windows Defender hmare computer ya laptop me us time install hota hai jab hm hmare computer ya laptop me windows install karte hai....
Windows Defender se virus ka pta kaise chalta hai....

Dosto jab bhi hmare computer ya laptop me hm koi file download karte hai ya koi software download karke use install karte hai to us time hmare computer ya laptop me virus aane ke chances badh jate hai us time Windows Defender hmare computer ya laptop screen par aek message show karta hai jisse hme pta chal jata hai ki hmare laptop ya computer me koi virus aa gya hai or fir hm Windows Defender ki help se us virus ko remove kar sakte hai....
To chaliye dosto ab hm Windows Defender ko active karte hai....
NOTE = Yaad rahe dosto agr aap Windows Defender ko activate karna chahte hai to pahle aap apne computer ya laptop se Download karke install kiye hue Anti-virus ko uninstall kar dijiye....

Step 1- Sabse pahle aap apne search bar me jaye or fir search box me Control Panel ko Type karke open kar lijiye....
Step 2- Ab aapko Windows Defender ko activate karna hai....
1. Yha se large icon select kar lijiye....
2. Ab Windows Defender ko open kar lijiye....
Step 3- Ab Turn on par click kar dijiye....
Ab aapka Windows Defender Active ho gya hai ab jab bhi aapke computer ya laptop me koi virus aayega us time ye message show karega....

Dosto meri ye post aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye or agr aapko Windows Defender ko active karne me koi bhi problem aa rahi hai to aap mujhe comment karke jarur bataye....

Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap ese share jarur kar dijiyega thanks....

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने