Computer se temporary files कैसे हटाये

Hello Dosto mera name hai MADANGOPAL/MG.... Dosto aaj ki es post me hm bat karenge ki hm apne computer ya laptop se temporary file`s ko kaise remove kar sakte hai. Dosto agr aap apne computer ya laptop se bina software ke temporary file`s remove karna chahte hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai. aap es post ko pura read karke boht hi aasani se apne computer ya laptop se temporary file`s remove kar sakte hai....
To chaliye Dosto ab hm apne computer ya laptop se temporary file`s ko remove karte hai....
Step 1- Sabse pahle aap WIN+R press kare. Ab esme temp type karke enter press kare....
Step 2- Ab aapke samne aek folder open hoga es folder me jitni bhi file`s hai unhe aap Delete kar dijiye or es folder ko close kar dijiye....
Step 3- Ab aap fir se WIN+R press kare or fir esme %temp% type karke enter press kare....
Step 4- Ab aapke samne aek folder open hoga es folder me jitni bhi file`s hai un sabhi file`s ko aap Delete kar dijiye or es folder ko close kar dijiye....
Ab aapke computer ya laptop me se sari temporary file`s remove ho gyi hai....
Dosto meri ye post aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye or agr aapko temporary file`s ko remove karne me koi bhi problem aa rahi hai to aap mujhe comment karke jarur btaye thanks....

Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap ese share jarur kar dijiyega thanks....

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने