Snapchat kya hai account kaise banaye

Hello Dosto mera name hai MADANGOPAL/MG.... Dosto aaj ki es post me hm bat karenge snapchat ki Dosto agr aap snapchat ke bare janna chahte hai or uska use karna chahte hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai to chaliye dosto Snapchat ke bare me jante hai or usme account create karte hai....

Dosto Snapchat App Android Or IOS Dono Device Ke Liye uplabdh hai . Eske dvara aap 10 second tak ki short video ko apne friends ke sath share kar sakte hai. es App ko 2011 Me Launch Kiya gya tha. Snapchat aek social networking site hai or es par photos or videos share kiya ja skta hai or eske dvara messege bhi kiya ja sakta hai snapchat dusre app se bilkul alg hai or ye kafi achha bhi hai esliye hi to eska use Bollywood celebrity tak karte hai. Snapchat me aap jo bhi photos or videos share karte hai vo kuchh time tak hi snapchat par save rahta hai uske bad vo remove ho jata hai. to dosto ab aap jan gye honge ki snapchat kya hai....
To chaliye dosto ab hm snapchat me account create karte hai....
Step 1- Sabse pahle aap snapchat ko download kar lijiye....

Step 2- Ab aap ese open kar lijiye open karne ke bad aap sign Up par click kare....
Step 3- Sign up Par Click Karne Ke Bad 
1. What’s Your Name me apna name dale....
2. First Name me apna first name dale....
3. Last Name me apna last name dale....
4. Ab Sign Up & Accept Par Click Kare....

Step 4- Yha aap apni DOB(Date Of Birth ) dal de or continue par click kar de....
Step 5- Ab aap apna Username Create kare Or continue par click kar de....

Step 6- Ab aap apne Password create kar le or continue par click kar de....
Step 7- Ab aap apna Mobile number dale or continue par click kar de....

Step 8- Ab aapke Mobile number par aek OTP aayega use yha par enter kar de....
Step 9- Ab aap apne friend`s ko search kar sakte hai or agr search nhi karna chahte hai to Skip par click kar de Ab aapke samne snapchat ka Home Page open hoga ab aap continue par click kar de....

Step 10- Ab aapke Mobile me jitne bhi Contacts save hai vo show honge. ab aap enme se jin-jin friend`s ko add karna chahte hai unhe add karke continue par click kar de....
Ab aap snapchat me account create ho gya hai....
Dosto meri ye post aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye or agr aapko snapchat me account create karne me koi bhi problem ho rahi hai to aap mujhe comment karke jarur bataye....

Dosto agr meri ye post aapke lie helpful rahti hai to please aap ese share jarur kar dijiyega thanks....

2 टिप्पणियाँ

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने