Hello dosto mera name hai MADANGOPAL/MG.... Dosto aaj ki es post me hm bat karenge ki hm anti ragging ka form kaise fill sakte hai dosto agr aap anti ragging ka form fill karna chahte hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai aap es post ko poora read karke boht hi aasani se anti ragging ka form fill kar sakte hai....
Anti ragging form kyo bhare.........
1. Anti ragging form har educational institute me study kar rhe student ya admission ke time har ek student ko har saal ye anti-ragging form jma karna hoga. Ye U.G.C ke regulation or guideline ke under me aata hai.
2. Honorable Supreme Court ke order ke anusar student ki detail in form se collect kiya jana chahiye aur central location mein electronic roop se store kiya jana chahiye.
3. Ab tak har college ne aesi information collect ki hai par kisi bhi central location me store nhi ki hai. lekin es year Ragging prevention program ke virodhi anti ragging form ko download karne ke liye ek Online process chalu ki hai. eska result ye hai ki ab college ke officer's ko alg se information collect or store nhi karni padegi........
Chaliye dosto ab hm anti ragging form ko fill karte hai..........
(yaad rhe jeen-jeen options ke upar red color ka star hai un options ko fill karna jaruri hai agr aap un options ko fill nhi karte hai to aapka form complete nhi hoga or aapko aage ke step bhi nhi milenge, esliye red color star vale options ko jarur fill kare)
Step 1- sabse pahle aapko es link par click karna hai...........
Step 2- dosto esme aapko personal details fill karna hai......
1. esme student family name enter karna hai family name me aapko aapki gotra enter karni hai yani ki esme aapko apna last name enter karna hai.......
2. esme student middle name enter karna hai agr student ka koi middle name hai to enter kar dijiye varna ese khali chhod dijiye..........
3. esme aapko student ka first name enter kar dijiye.......
4. esme student gender select kar lijiye......
5. esme student nationality enter karni hai agr student indian hai to aapko indian enter karna hai.........
6. esme student ke mobile number enter karne hai......
7. esme student ke friend ke mobile number enter karne hai...........
8. esme landline number enter karna hai agr aapke pass landline number nhi hai to aap ese khali chhod sakte hai.........
9. esme student`s email id enter karni hai..........
10. esme fir se vo hi same id enter karni hai.......
11. esme student ka permanent address enter karna hai...........
12. esme dusra address enter karna hai, agr student ka dusra address hai to enter kar dijiye varna ese khali chhod dijiye..........
13. esme student ki city enter karni hai, jaha vo rhta hai........
14. esme student ka state select karna hai.......
Step 3- es step me student ke parent / guardian ka details fill karna hai, esme student apne mom ya dad dono me se kisi ki bhi details fill kar sakta hai........
1. esme student ke mom ya dad dono me se kisi aek ka name fill karna hai agr student apni mom ka name enter kar rha hai to vo Mrs. select kar le agr papa ka to Mr. select kar le.......
2. esme student parent address enter karna hai........
3. esme dusra address enter karna hai agr dusra address hai to enter kar dijiye agr nhi hai to ese khali chhod dijiye..........
4. esme parent city enter karni hai jaha vo rhte hai.........
5. esme parent sate select karna hai......
6. esme ghar ka phone no. enter karna hai........
7. esme parent ke mobile numbar enter karne hai.........
8. esme parent ki email id enter karni hai agr parent ki email id nhi hai to student apni dusri id ya kisi friend ki id ko enter kar sakta hai..........
Step 4- es step me student ko college details fill karni hai...........
1. esme college ka state select karna hai..........
2. esme student ka college kisse Related hai vo select karna hai, agr medical college hai to medical select karna hai, agr agriculture college hai to agriculture select karna hai aese or bhi options hai student ka college jisse related hai vo select kar lijiye...........
3. esme student ke college ka name enter karna hai........
4. esme college ki university ka name select karna hai...........
5. esme agr student ki university deemed hai to YES select kar lijiye varna NO select kar lijiye.........
6. esme principal ka family name enter karna hai yani ki principal last name enter karna hai........
7. esme principal first name enter karna hai agr principal doctar hai to Dr. select kijiye agr professor hai to Prof. select kar lijiye.......
8. esme principal ka gender select karna hai.........
9. esme college ke phone no. enter karne hai, college phone no. internet par mil jayenge......
10. esme agr or bhi college phon no. hai to enter kar dijiye varna ese khali chhod dijiye........
11. esme college ke paas ke police station ka name or address enter karna hai......
Step 5- esme student ke course ka details fill karna hai...........
1. esme student agr diploma kar rha hai to diploma or agr degree kar rha hai to degree select karna hai, under graduate un students ke liye hai jo abhi graduate nhi hai yani vo abhi graduation kar rhe hai or post graduate un students ke liye hai jinhone graduation kar li hai...........
2. esme student ko apna course name enter karna hai........
3. esme student ko apne registration no. ya enrolment no. enter karne hai.........
4. esme student ki class me kitne student`s hai vo enter karna hai...........
5. esme student konse year me pdh rha hai vo select karna hai........
6. esme image me diye hue code ko enter karna hai.......
7. ab next par click karna hai........
Step 6- es step me pahle aap enhe read kar lijiye...........
1. ab aap en sabhi ko select kar lijiye.........
2. ab image me diye hue code ko enter kar dijiye...........
3. ab submit par click karna hai......
Step 7- ab aapko en details ko fill karna hai.......
1. agr aapki kabhi kisi ne regging ki hai to YES select kar lijiye agr nhi ki hai to NO select kar lijiye.....
2. agr aapne kabhi kisi ki regging ki hai to YES select kar lijiye agr nhi ki hai to NO select kar lijiye.......
3. esme aapko national anti ragging help line no. enter karna hai, ye no. aapko internet par mil jayenge..........
4. aapki college me ragging hoti hai ya nhi , agr nhi hoti hai to none ko select kar lijiye , agr hoti hai to vo kis type ki hoti hai vo select kar lijiye.............
5. ab aapko image me diye hue code ko enter karna hai........
6. ab aapko submit par click karna hai.......
Friend`s ab anti ragging form completely fill ho gya hai ab two mails aayenge one student email id par or one parent email id par. jo student email id par mail aayega usme anti ragging form ke five pdf honge jinhe print karke college me submit krvana hoga..........Dosto agr aapko anti ragging ke form ko fill karne me kahi par bhi koi bhi problem ho to aap mujhe comment karke puchh sakte hai..............
Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap ese like or share jarur kar dijiyega thanks......