Leap Day/Year kya hai इसका कैसे पता करे

Hello Dosto mera name hai MG.... Dosto aaj ki es post me hm janege ki leap day ya year kya hai dosto agr aap leap day ya year ke bare me janna chahte hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai aap is post ko poora read karke boht hi aasani se leap day /year ke bare me jan skte hai....
Aaj ki is post me hm bat karege ki leap day/year kya hota hai or ye 4 sal me ek bar hi kyo aata hai jese 4 salo se 29 february aata hai or february ka mahina 28 ya 29 din ka hi kyo hota hai in sabhi swalo ke jwab aapko is post me milege....
Chaliye Dosto suru karte hai....

leap day kya hai....

29 february ko leap day kaha jata hai or ise leap year bhi kahte hai kyoki ye 4 salo me ek bar aata hai sidhe words me kaha jaye to 4 se divide hone wale year ko leap year kahte hai....

Vese to february 28 days ki hoti hai or year 365 days ka par 4 salo me ek bar february 29 days ki hoti hai or year 366 days ka isliye 29 february ko leap day or year ko leap year kahte hai jese ki is bar february 29 days ki thi isliye ye leap day tha or 2020 me 366 days hai isliye ise leap year kaha jata hai....

leap day/year kyo hota hai or kese hota hai....

Ye to aap sabhi jante hi hai ki Earth apni dhuri par sun ke charo or chakkr lgati hai Earth ko sun ka ek chkkr lgane me 365 days or 6 hours lgte hai par in 6 hours ko kabhi gina nhi jata hai isliye  4 year me ye 6 hours milkar ek din bna lete hai (6+6+6+6=24 hours) ye din february ke end me aata hai isliye february me 29 din hote hai or year me 366 days....

leap days/year ka kaise pta kare....

Kisi bhi year ka leap year hona kis condition me sambhv hai....

Agr kisi bhi year ko 4 se divide karne par agr vo divide ho jata hai to iska matlb vo leap year hai jese 2000 ko 4 se divide kiya ja skta hai or 2020 ko bhi 4 se divide kiya ja sakta hai isliye 2020 leap year hai....

Dosto meri ye post aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye or agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to aap is post ko share jarur kr dijiyega thanks....

2 टिप्पणियाँ

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने