Digilocker kya hai इसमें Account कैसे बनाये

Hello Dosto mera name hai MG.... Dosto aaj ki es post me hm bat karenge ki Digilocker kya hai or iska kaise use kare dosto agr aap Digilocker ke bare me janna chahte hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai aap is post ko poora read karke boht hi aasani se Digilocker ke bare me jan sakte hai....
Digilocker ek esa app hai jaha hm apne documents ko save kar sakte hai ise lounch hue labhg 5-6 sal ho gya hai lekin ab bhi iske bare me boht km log jante hai par koi na ham batayege aapko ki Digilocker kya hota hai....

Digilocker ko india ke PM narendra modi ne july 2015 me lounch kiya tha iske dvara user Birth certificate, Passport, Pan card, Voter id card, Driving licence, Income tex return etc.. online save kar sakte hai iska use karne ke liye aapke pass aadhar card hona jaruri hai iske dvara hm sabhi documents ko E-Sign bhi kar sakte hai jo Self attestation ke process ke hi jesa hai....

Chaliye Dosto Digilocker me account create karte hai....

Sabse pahle Google play store se Digilocker app ko download karke install karle aap chahe to website se bhi sign up kar sakte hai....

Ab app ko open kare or fir apne mobile no. ko enter kare....

Ab aapke mobile no. par ek OTP aayega OTP ko submit kare....

Ab User name or password create kare....

Account create hone ke bad aap is account ko apne Facebook ya Gmail account ko link kar sakte hai....

Digilocker me Document upload kaise kare....

Digilocker me account create karne ke bad digilocker app ko open kare or upload documents ke option par click kare....

Ab Upload par click kare....

Ab aap apne documents ki location choose kare jis folder me aapka document hai us folder ko open kare or yaad rahe file ka size 1 MB se jyada na ho or Documents JPEG, PDF, JPG, PNG or BMP formet me hone chahiye....

Upload documents list me kisi bhi Documents ke select Doc Type par click kare....

Ab Drop Down List se document ka type select kare or save par click karde....

E-Sign document/Certificate :- Upload kiye gye document ke liye uploded documents selection me E-Sign link hoti hai is par click karne ke bad aapko ek OTP recive hoga is OTP ko enter karne ke bad E-Sign button par click karna hai ab aapka document E-Sign ho gya hai yaad rahe aap ek time me ek hi document ko E-Sign kar sakte hai....

Document share karne ke liye aapko uploded document ke section me share link milega aap us par click karke jisko bhejna hai uski E-Mail id ko enter karke share kar sakte hai par dhyan rahe aap ek time me ek hi document ko share kar sakte hai....

Dosto meri ye post aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye or agr aapko koi bhi Digilocker me problem aa rahi hai to aap comment karke jarur btaye....

Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap ise apne friends ke sath share jarur kare....Thanks....

3 टिप्पणियाँ

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने