Software,Video&Audio downloader kaise download करे

Hello Dosto mera name hai MADANGOPAL(MG).... Dosto aaj ki es post me hm bat karenge ki hm apne laptop ya computer me Video, Audio or software downloader kaise download kar sakte hai Dosto agr aap apne laptop ya computer me Video, Audio or software downloader Download karna chahte hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai aap es post ko poora read karke boht hi aasani se apne computer ya laptop me Video, Software or audio downloader download kar sakte hai....
Dosto FDM aek boht hi badhiya software hai eska poora name Free downloader manager hai ye software bilkul free hai ese aap free me use kar sakte hai. Dosto jab hm internet se apne browser ke dvara koi bhi file download karte hai or vo file 500 MB se badi ho aese me agr vo file 400 MB tak download hoke kisi bhi reason se cancel ya stop ho jati hai to sach me boht boora lagta hai. Lekin dosto ab aesa nhi hai kyoki ab hmare pass FDM hai. Dosto jab bhi hm koi File FDM ke dvara download karte hai or file bich me stop ho jaye jese ki apna internet data khatm ho jaye to vo file cancel nhi hogi use hm bich me stop kar sakte hai or jab hmare pass data ho tab hm us file ko download kar sakte hai. esliye dosto FDM aek boht hi achha software hai....

Chaliye Dosto ab hm Downloader ko download karte hai....

Step 1- Sabse pahle aap es link par click kare or FDM software ko download karle or fir use install kare....
                        https://www.freedownloadmanager.org

Step 2- Ab FDM ko open kare....

Step 3- Dosto agr aap Youtube se video download karna chahte hai to es + par click kare....
Step 4- Ab yha jis video ko aap download karna chahte hai us video ka link past kare or fir OK par click kare or fir Video Quality select kare or fir download par click kare....

Step 5- Ab FDM ke right side upper corner me es par click kare or fir settings par click kare....
Step 6- Ab Browse integration ko select kare or aap jis browser ko use karte hai us browser ko select kare....
* Ab Verify if extension par click kare....

Step 7- Ab es link par click kare....
                                   https://chrome.google.com/FDM
Step 8- Ab FDM ko apne browser me add karle add a chrome par click karke....

Dosto ab FDM aapke browser me add ho gya hai ab aap jb bhi apne browser se video ya koi software ya koi audio download karoge to vo FDM ke dvara download hoga or Dosto jab bhi kuchh bhi FDM ke dvara download karte hai to use pending bhi rakh sakte hai or jab chahe tab download kar sakte hai vo file cancel nhi hogi....

Dosto meri ye post aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye or agr aapko apne laptop ya computer me downloader ko download karne me koi bhi problem aa rahi hai to mujhe comment karke jarur bataye....

Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please app es post ko share jarur kar dijiyega thanks....

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने