Blog ko Google Search Console में कैसे Submit करे

Hello Dosto mera name hai MADANGOPAL(MG).... Dosto aaj ki es post me hm bat karenge ki hm apne blog ko Google search engine me kaise submit kar sakte hai Dosto agr aap apne blog ko Google search console me submit karna chahte hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai aap es post ko poora read karke boht hi aasani se apne blog ko Google search engine me submit kar sakte hai....
Dosto me aapko aek bat btadu confusion door karne ke liye ki Google Webmaster tool or Google search console aek hi hai Google search Console ko pahle Google Webmaster tool kaha jata tha jise ab Google Search console kaha jata hai. Dosto Google Search console me Blog ko esliye submit kiya jata hai taki jab bhi blogger blog par post kare to vo post Google par show ho sake Dosto agr hmara blog Google Search console me submit nhi hoga to aap jo bhi post karoge vo google search console me show nhi hogi aese me blogging karne ka koi fayda nhi hai, Esliye blog ko Google search Console me submit kar lena chahiye kyoki google sabse popular tool hai....


Chaliye Dosto ab hm apne Blog ko Google search engine me submit karte hai....

Step 1- Sabse pahle aap apne blog me login kare....

Step 2- Ab aapko apne blog ko google webmaster tool me submit karna hai....
1. Sabse pahle settings par click kare....
2. Ab Search preferences par click kare....
3. Ab Edit par click kare....

Note= Dosto agr aap apne Blog ka URL bhool gye hai to View blog par click karke pta kar sakte hai....
Step 3- Site URL me apne blog ka URL enter kare or fir ADD PROPERTY par click kare....

Step 4- Ab aapka blog Google Webmaster tool me Submit ho gya hai. ab aap Go To PROPERTY par click kar de....

Step 5- Ab aap dekh sakte hai aapka Blog Google Search Console me submit ho gya hai ab aap apne blog me jo bhi post karoge vo post Google me show hogi....

Dosto meri ye post aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye or agr aapko apne blog ko google Webmaster tool me submit karne me koi bhi problem aa rahi hai to aap mujhe comment karke jarur bataye....

Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap es post ko share jarur kar dijiyega thanks....

4 टिप्पणियाँ

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने