Computer se apna welcome kaise karwaye

Hello Dosto mera name hai MADANGOPAL/MG.... Dosto aaj ki es post me hm bat karenge ki hm apne laptop ya computer se apna welcome kaise karva sakte hai vo bhi bolwakar. Dosto agr aap apne laptop ya computer se apna welcome karvana chahte hai to aap es post ko pura read kariyega aap boht hi aasani se apne laptop ya compuer se apna welcome karva payenge.......

Dosto aaj jo me trick btaunga vo sabhi windows jese windows 7, windows 8, windows 8.1, windows 10 etc me work karegi. Dosto es trick ko use karne ke bad aap jab bhi apna laptop ya computer on karoge tab aapka welcome karega wo bhi aapke apne name ke sath to chaliye dosto ab hm suru karte hai......­

Step 1- Sabse pahle aap apne search bar me jaiye or notepad ko search karke open kar lijiye.....


Step 2- Ab es code ko apne notepad me copy karke past kar dijiye or esme Madangopal ki jgah apna name likh dijiye or agr aap have a nice day ki jgah kuchh or likhna chahte hai to likh sakte hai.....
Dim speaks, speech 
speaks="Welcome Madangopal, have a nice day" 
Set speech=CreateObject("sapi.spvoice") 
speech.Speak speaks
Step 3- Ab aapko ese save karna hai....
1. Ese welcome.vbs ke name se kare....
2. Ab aap ese save kar dijiye.....
Step 4- Ab aap apne search bar me jaye or 
1. Search box me shell:startup type kare.....
2. Ese open kar lijiye or esme us file ko cut karke past kar dijiye jo aapne welcome.vbs ke name se save ki thi.....

Ab aap apne Laptop ya computer ko refresh kar le or fir restart karke check kar sakte hai aapka PC 100% aapka welcome karega.....

Dosto meri ye post aapko kaisi lagi comment karke jarur btaye or agr es trick ko use karne me koi bhi problem aati hai to aap mujhe comment karke btaye.....

Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap ese like or share jarur kar dijiyega thanks......

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने