Aadhar card link in bank account by ATM

Hello dosto mera name hai MADANGOPAL/MG..... Dosto aaj ki es post me hm bat karenge ATM ke dvara apne Aadhaar Card ko SBI Bank Account se Link karne ki..... Dosto agr aapka Aadhaar card aapke Bank Account se link nhi hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai kyoki aaj ki es post me hm ATM ke dvara aadhar card ko apne bank account se jodenge. Dosto Bank account se Direct Subsidy lene ke liye aapko apna aadhar card number bank account se jodna jaruri hota hai. Par eske liye aapko apne Aadhaar card ki copy LPG gas distributor ke pass jakar jama karvani hoti hai. Ya fir apne bank branch me jakar aadhar card ki photo copy jma karvani hoti hai. Uske bad hi aapka aadhar card aapke bank account se link hota hai. Agr aap LPG Distributor or Bank branch nhi jakar paresaniyo ka samna na karke apne aadhar card ko apne bank account se link karvana chahte hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai aap es post ko pura read karke apne aadhar card ko apne bank account se link kar sakte hai......
Aadhar card ko bank account se link karne ke fayde .....
1. Pension
2. Scholarship
3. Tribal welfare schemes
4. Direct benefits transfer (DBTL)
5. Subsidy for commodity products
6. Mahatma Gandhi National rura employment guarantee (MNREGA)


Chaliye Dosto ab hm ATM se aadhar ko bank account se link karte hai....

1. Sabse pahle aap apne pass ke ATM machine par jaye....
2. Ab apne ATM ko Swipe kare or PIN enter kare......
3. Ab aapke samne aek menu option aayega usme “Service Registration” option ko select kare.....
4. Uske bad “Aadhaar Card” registration option ko select kare.....
5. Uske bad aap apna account type Saving Account or Current Account choose kare.....
6. Ab aapko apna 12 digit ka “Aadhaar Card Number” enter karna hai.....

Ab aapka aadhar card bank account se link ho gya ab kuchh time me aapke registered mobile number par confirmation massage aa jayega.....

Dosto agr aapko SBI account me ATM ke dvara aadhar link karne me koi bhi problem aa rahi hai to aap mujhe comment karke bta sakte hai....

Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap ese like or share jarur kar dijiyega thanks.....

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने