Roadways bus ticket kaise book kare


Hello dosto mera name hai MADANGOPAL/MG... Aaj ke is post me hum bat krenge Roadways bus ki, राजस्थान राज्य पथ परिवहन निगम ki official site hai RSRTC, or ye janege ki hm online bus ki ticket kese book kar skte hai, dosto online bus ki ticket book krne ke liye aapko RSRTC me account bnana pdega dosto agr aapka account bnaya huaa hai tb to thik hai nhi to es post ko pdhkar RSRTC me account bna skte hai...........
                              rsrtc-me-account-kaise-bnaye.html
Ye to aap jante hi honge ki ab sare kaam online hone lage hai , or aap kahi jaye bina  khud hi apni bus ki ticket online book krna chahte hai, to ye post last tak read krna, esme me aapko step by step batane wala hu ki RSRTC par account bnane ke bad online bus ticket book kaise kar skte hai, to chaliye suru krte hai.......

Dosto pahle hm bat krte hai ki hme Online bus ki Ticket Book krne ke liye kya-kya chahiyega.....
1- RSRTC Account- Me aapko pahle bhi bta chuka hu ki online ticket reservation ke liye aapka
RSRTC me account hona jaruri hai, agr aapka account RSRTC me nhi hai to aap online ticket book nahi kar sakte hai. esliye aap sbse pahle apna account bna le.......
2- PC/ Laptop ya Smartphone- online ticket booking ke liye aapke pas enme se koi ek cheej honi chahiye tbhi aap ticket book kar payenge..........
3-Internet connection- Online work ke liye internet  hona bahut hi jaruri hai so aapke pas internet connection hona chahiye........
4- Online Payment Option- Online ticket reservation ke liye aapke paas net banking ki suvidha honi chahiye ya fir Debit card, Credit card etc hona chahiye jiske jariye aap ticket ka peisa online pay kar sko.
               To chaliye dosto ab hm bus ki ticket book krte hai, dosto process boht hi aasan hai aapko en steps ko follow krna hai aap boht hi aasani se apni bus ki ticket book kar payenge........

Step 1- Sabse pahle aapko es link par click krna hai
                             http://transport.rajasthan.gov.in/rsrtc/
Step 2- Ab aapke samne RSRTC ka login form show hoga. usme apne RSRTC account ki user id, password enter karne ke baad login par click kare.
Step 3- Login par click karne ke baad aapke samne RSRTC ka main page open hoga jisme aapko kaha se kaha tak ki yatra ke liye ticket book karna hai wo enter karna hai aur date bhi select karna hai, bus service Type me aap service type select kar le ya any hi rahne de, last me search button par click kare.
            Search par click karne ke baad us root par jitni bhi bus us din chalengi uska pura list show hoga.jo ki iss prakar hai sabse pahle Aapko fare check kar lijiye (kiraya kitna hai) uske bad me aap show availability check kar lijiye (seat hai ya nhi) uske bad me aapko book ticket par click krna hai.......
Step 4- es page me aapko passengers details bharni hai name , age, gender aek bat or aap one way ki ticket lena chahte hai ya return ticket bhi lena chahte hai wo select kar lijiye or next par click kar dijiye.........
Step 5- es page me aapko seat layout select krna hai yani aap konsi seat book krna chahte hai vo select kar lijiye or booking par click kar dijiye..........
Step 6- ab aapko ticket ka paisa pay karna hai, pay karne ke liye payment option select kare. Aap jis method se ticket price pay karna chahte hai wo select kare. payment option select karne ke baad Make payment par click kare.........
         Me ab ye man kar chal raha hu ki aap online payment kar loge. payment successfully transfer hone par aapke bank account se ticket booking ka price money kat jayega. aur aapke mobile number or email id par message Aayega vahi aapka Ticket hai, jisme ticket ka pura detail hoga. aap us ticket ko save ya print bhi kar sakte ho..............

Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap ese like or share jarur kar dena thanks...............

2 टिप्पणियाँ

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने