hello dosto mera name hai MADANGOPAL/MG... Aaj ke is post me hum bat krenge Indian railways ki, indian railways ki official site hai IRCTC, or ye janege ki hm online train ki ticket kese book kar skte hai, dosto online train ki ticket book krne ke liye aapko IRCTC me account bnana pdega dosto agr aapka account bnaya huaa hai tb to thik hai nhi to es post ko pdhkar IRCTC me account bna skte hai.............
irctc-me-account-kaise-bnaye.html
Ye to aap jante hi honge ki ab sare kam online hone lge hai , or aap kahi jaye bina khud hi apni train ki ticket online book krna chahte hai, to ye post last tak read krna, esme me aapko step by step batane wala hu ki IRCTC par account bnane ke bad online railway ticket book kaise kar skte hai, to chaliye suru krte hai.......
dosto pahle hm bat krte hai ki hme Online Train ki Ticket Book krne ke liye kya-kya chahiyega.....
1- IRCTC Account- Me aapko pahle bhi bta chuka hu ki online ticket reservation ke liye aapka
IRCTC me account hona jaruri hai, agr aapka account irctc me nhi hai to aap online ticket book
nahi kar sakte.
2- PC/ Laptop ya Smartphone- online ticket booking ke liye aapke pas enme se koi ek cheej honi
chahiye tbhi aap ticket book kar payenge..........
3-Internet connection- Online work ke liye internet hona bahut hi jaruri hai so aapke pas internet connection hona chahiye........
4- Online Payment Option- Online ticket reservation ke liye aapke paas net banking ki suvidha
honi chahiye ya fir Debit card, Credit card etc hona chahiye jiske jariye aap ticket ka peisa online pay kar sko.
to chaliye dosto ab hm train ki ticket book krte hai, dosto process boht hi aasan hai aapko en step ko follow krna hai aap boht hi aasani se apni train ki ticket book kar payenge........
Step 1- Sabse pahle aapko es link par click krna hai-
www.irctc.co.in
Step 2- Ab aapke samne irctc ka login form show hoga. usme apne irctc account ki user id, password aur captcha enter karne ke baad login par click kare.........
Step 3- Login par click karne ke baad aapke samne irctc ka main page open hoga jisme aapko kaha se kha tak ki yatra ke liye ticket book karna hai wo enter karna hai aur date bhi select karna hai, last me find trains par click kare.......
Step 4- find trains par click karne ke bad us root par jitne bhi train us din chalenge uska pura list show hoga. jo ki iss prakar hai sabse pahle Aapko Quota select karna hoga, to chaliye Quota ke bare me jaan lete hai..........
General- Normal ticket ke liye isko hi select rehne dijiye aur adhiktar log general Quota me hi reservation karte hai.
Premium tatkal- ye ticket un logo ke liye best hai jo ki waiting list se bachna chahte hai lekin es ticket ki price zyada hoti hai. lekin isme aapko conrmceat mil jati hai......
Tatkal- General Quota me seat na milne par aap tatkal ticket le sakte ho. lekin tatkal ticket ki booking subah 10 baje se 12 baje ke beech hi hoti hai. aur iske liye aapko kuch extra paise bhi dene hote hai. ye baat bhi aapko pata honi chahiye ki 10 am to 11 Am ke beech AC class ticket ki booking aur 11 am to 12 am ke beech Non AC class ki booking hoti hai......
Physical handicap- Agar aap divyang hai to esko select kare......
Ladies- ye quota specially ladies ke liye hai aur isme sirf 6 birth available hoti hai. dekha jaye to
ye Quota un girls or ladies ke liye faydemand hai jo ki akele safar karti hai......
Class- Aap kis class me travel karna chahte hai wo select kare jaise ki 1A, 2A, 3A, SL maine yaha pe SL par click kiya hai kyu ki mujhe sleeper class me travel karna hai aur ye baki ki class se sasta bhi hai. SL class select karne ke bad aapko check availability&fare pr click krna hai es par click karte hi ek new page show hoga.......
Step 5- es page me aapko ye bataya jayega ki seat available hai ya nhi or ticket price bhi show hoga. jaisa ki aap dekh sakte ho ki 03/09/2018 ko seat Available hai so mai es date ke liye ticket book kar sakta hu. ticket booking ke liye Book Now par click karna hai. Book Now par click karne par aapke samne ek new page open hoga..........
Step 6- es page me aapko passenngers details, mobile number, captcha code enter karne ke baad Next par click kare........
Step 7- esme aap apni details dekh lijiye or bad me aapko continue booking par click krna hai jab aap continue booking par click kroge to aapke samne aek new page show hoga ........
Step 8- ab aapko ticket ka paisa pay karna hai, pay karne ke liye payment option select kare.
Aap ATM card (Debit card), Credit card, Net banking se pay kar sakte ho. aap jis method se ticket
price pay karna chahte hai wo select kare.
payment option select karne ke bad Make payment par click kare. mai ye maan kar chal raha
hu ki aap online payment kar loge. payment successfully transfer hone par aapke bank account
se ticket booking ka price money kat jayega.
or aapke mobile number or email id par message Aayega wahi E- Ticket hai, jisme ticket ka
pura detail hota hai. aap uss ticket ko save ya print bhi kar sakte ho...........
Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap ese like and share jarur kar dijiyega thanks......
An author must have a vast knowledge of vocabulary. The dictionary of a writer must be full of new english vocabulary to make their work more attractive. Use of new words makes their work more valuable and graceful.
जवाब देंहटाएंนานมีบุ๊คส์
बहुत अछि जानकारी है और उपयोग में और काम आने वाली
जवाब देंहटाएंthanks vijay pawar ji
हटाएं