Hello Dosto mera name hai MG.... Dosto aaj ki es post me hm bat karenge ki telegram kya hai or iska istemal kaise kare dosto agr aap telegram ke bare me janna chahte hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai aap is post ko poora read karke boht hi aasani se telegram ke bare me jan sakte hai....
Telegram whatsapp, facebook, massanger ki trah hai jese hm inke dvara apne ristedaro or friends se bat karte hai massage, voice massage, video call, voice call etc par. vese hi hm telegram ke dvara apne friends or se bat kar sakte hai. whatsapp se jyada features or safety hai telegram me.
Telegram ek Cloud based instant messaging or voice over IP services hai, jise aap apne family, friends, relative se online chat kr sakte hai. Telegram app Android, Windows phone, IOS, Windows NT, macOS and Linux etc ke liye uplbdh hai or iska use karna boht hi easy hai. or ye kafi jyada pasnd kiya jane wala app hai. or iski ek or khas bat isme data iske cloud par store ho jata hai. telegram me ese boht se features hai jo baki massaging application me nhi hai.
Telegram ke Features....
1. Encryption :- Telegram app me encryption ke 3 layers hote hai jabki baki messaging app me 2 layers hi hoti hai isliye telegram unse best hai....
2. Securty :- Telegram app me secret chat ki suvidha hoti or aap un chats ko destroy bhi kar sakte hai jab aapki conversation end ho jaye tab aap ise auto delete kar sakte hai, bs auto delete ke liye aapko isme time set karna hota hai....
3.Password :- Is app par aap password bhi set kar sakte hai vese to password ka option whatsapp me bhi hota hai....
4. Protocol :- Telegram apne users ke data ko encrypt karne ke liye MT Proto protocol ka use karti hai....
5. Multiple Devices :- Aap is app ka istemal ek se jyada adhik device me bhi kar sakte hai jabki whatsapp me esa koi feature nhi hota hai....
6. Cloud storage :- Ye feature telegram ka sabse best feature hai esa kisi dusre messaging app me nhi hai. Jese hmare whatsapp ke massage video or other data mobile storage me save hota hai vese hi telegram ke massages , videos etc ka data telegram ke cloud storage me store ho jata hai....
Telegram ko Download kaise kare....
Ye app aapko Apne android mobile me vese hi download karna hai jese aap apne dusre app ko play store se karte ho. or vese hi apne IOS me karna hai or agr aap apne windows ya mac ya linux me ise download karna chahte hai to ise Google se bdi aasani se download kar skte hai....
Telegram me account kaise create kare....
1. Sabse pahle ise apne device me download karna hai or fir install karna hai....
2. Ab telegram ko open kare or fir start messaging par click kare....
3. Uske bad apna country select kare or fir apna mobile no. enter kare....
4. Ab OTP code ko enter kare or fir Done par click kare....
5. Ab apna Name likhe or fir Done par click kare....
Ab aapka telegram account create ho gya hai....
Dosto meri ye post aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye or agr aapko telegram ka account create karne me koi bhi problem aa rahi hai to app mujhe comment karke jarur bataye....
Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap ise apne friends ke sath share jarur kare thanks....