Internet ke Nuksan(Disadvantage) or fayde(Advantage)

 Hello Dosto mera name hai MG.... Dosto aaj ki es post me hm bat karenge kiinternet ke kya nuksan hai or kya fayde hai dosto agr aap internet ke nuksan or fayde ke bare me janna chahte hai to ye post aapke liye boht hi helpful aap is post ko poora read karke boht hi aasani se internet ke nuksan or fayde ke bare me jan sakte hai....

Aaj ki generation me internet ek insan ke liye boht hi bda sadhn bn gya hai insano ka iske bina rhna muskil ho gya, internet ne insano ki jindgi ko puri trah change kar diya hai or insano ki jindgi me khusiya bhr di hai lekin jitni khusiya bhri hai utni hi muskile bhi khdi kar di hai. aaj ki is post me hm internet ke nuksan or fayde ke bare me janege to chaliye jante hai....

Internet ke fayde (Advantage of internet):- 

1. Communication (Batchit) :- Internet ka sabse imporatnt benifit Faster communication hai. aaj hm internet ki help se world me kahi par bhi bethe insan se bat kar sakte hai fir chahe video call karni ho ya audio call ya fir massage karna ho in sab me internet ki jarurt hoti hai jabki pahle esa nhi tha pahle kisi dur bethe relative se bat karne ke liye Post office ki help leni hoti thi or is process me kafi time lgta tha....

2. Information sharing :- Aaj hmare pass kisi ko information dene ke liye boht sare equipment hai jese voice call, video call, text massage etc . jabki pahle esa nhi tha pahle kisi ko koi information dene ke liye kht likhne pdte the or fir usko bhejne pdte the jise information deni hoti thi or is process me kyi din lag jate the....

3. Connectivity :- Internet ki vjah se aaj hmare bich ki duri puri trah se khtm si ho gyi hai internet ki help se kisi bhi member se batchit kar sakte hai vo bhi kuch hi seconds me fir chahe vo hmse kitna bhi dur kyo na ho....

4. Education :- Eduction me learning me internet ka boht bda role hai internet ki vjah se ab har jgah digital classroom bnaye ja rehe hai jisse student ko koi bhi chij topic boht hi aasani se smjhai or sikhai ja sakti hai.

Or aap ghar par bethe hi kuch apne aap kuch bhi pdh sakte hai internet ki help se....

5. Online shopping :- Internet ke aane se ye kam boht hi bdhiya ho gya hai pahle log bhid bhad me jate or shopping karte lekin ab esa nhi hai ab kuch bhi khridna ho internet ki help se online bdi hi aasani se order krke mgva skte hai fir chahe kpde ho ya jute ho ya mobile....

6. Online bill or ticket :- Aaj aap internet ki help se koi bhi bill online bhar sakte hai koi bhi ticket online book kar sakte hai mobile ka rechrge bhi online kar askte hai jabki pahle esa nhi tha pahle mobile ka recharge karne ke liye coupen lena pdta tha mujhe aaj bhi yaad hai us coupen ko ghiskar uske no. nikalte the fir recharge karte the kyi bar to vo no. hi ghis jate the jiski vjah se coupen khrab ho jata hai.

Pahle light ka bill bhrne ke liye lmbi line me lgna pdta tha ghnto lag jate the line me par kyi bar to fir bhi no. nhi aata tha or ese hi college me admission lene ke liye bhi line me lgna pdta tha, koi document bnvana hota tha to bhi line me lgna pdta tha par ab vesa nhi hai sab kuch change ho gya hai....

7. Online paise kamaye :- Internet ka sabse bda fayda jiska fayda me bhi utha rha hu ye artical share kiya mene or aap ab ise read kar rhe ho, internet ki vjah aaj log lakho rupye earn kar rhe hai koi youtube par channel bnake kar rhe hai to koi google par website bnake....

8. Business promotion :- Internet Business Promotion ka sabse best Platform hai iske dvara hm apne business ko online promotion karke puri duniya me promote kar sakte hai.

Pahle Compneys apni compney ka advertisement Newspaper me dete the vhi ab internet par Google Ads chlakar apne business ko puri duniya me promote kar rhe hai....

9. Entertainment :- Internet entertainment ka to bhndar hai aap entertainment ke liye internet par unlimited videos, movies dekh sakte hai, or game bhi khel sakte hai. Iske alava aap social network par jese facebook, instagram par apne friends ke sath apne videos or photos share kar sakte hai or sath hi TikTok jese app par apne khud ke videos bnake share karke paise bhi earn kar sakte hai....

10. Net Banking :- Aaj hm internet ki vjah se banking se related koi bhi kam net banking ki help se kar lete hai jabki pahle banking ke related kisi chhote se kam ke liye bhi bank branch jana pdta tha. Aaj aap internet ki help se new account open kar sakte hai kisi ko bhi paise transfer kar sakte hai kisi se bhi paise receive kar sakte hai, Debit card or Credit card ke liye apply kar sakte hai or yha tak ki aap ghar bethe internet ki help se apne ATM ka pin generate kar sakte hai....

Internet ke nuksan (Disadvantage of internet) :- 

1. Time Waste :- Aajkal log internet ka bahut jyada istemal karte hai 24 ghnte me se 18 ghnte internet ko de dete hai. Internet ka sabse jyada use student karte hai vo pdhai ke bahane internet ka use karte hai or apna time social media par waste karte hai movies dekhte hai....

2. Hacking, Chhori or fraud :- Agr aapko online koi jaruri kam karna hai jese aapko kuch fill karna ho to aapko apna Email id or mobile no. to dena hi hota hai jab ye sab dena hota hai to apni identity ka dar rahta hai.

Aapka internet par jo kuch bhi hai uska hack hone ka dar rahta hai fir chahe aapki personal chat ho ya personal pics sabka dar rahta hai. kyi bar online form bhrte hai Govt. job ke liye or hm apni fees bhi kat dete hai pr vo Fraud hota hai....

3. Internet ki aadt :- Aajkal yuva logo me aapne dekha hoga ki vo har time apne mobile se chipke rahte hai game khelte hai social media chlate hai youtube par videos dekhte hai jinse unka time waste hota hai or health bhi khrab hoti hai....

4. Apno se Distance :- Halaki internet ke jriye hm puri duniya ke bare me janne lage hai or duniya bhar ke logo se bate bhi karte hai lekin apne relatives se dur hote ja rhe hai kyoki pahle jab internet nhi tha tab sare ghar ke member ek jagah beth ke bate karte the lekin ab esa nhi hai ab ek sath bethte hi nhi hai agr beth bhi jayege to sab apne apne mobile me ghuse rahege....

5. Obscenity, wrong publicity or soshan :- Aapne facebook par dekha hoga kisi ke bare me galt post aate hai jisse glt publicity hoti hai or smaj me ek galt massage jata hai. joki ekdm glt hai. iske alwa Obscenity bhi boht jyada dekhne ko milti hai jo teji se felti hai internet ke jriye videos or photos or text ke roop me....

6. Bchcho ke liye khtrnak :- Internet par galt or sahi dono hi cije hoti hai or boht si chije esi hoti hai jo bchcho ka mn bhtkati hai unka pdhai me mn nhi lgne deti hai unke liye sahi nhi hoti hai.

or ekdm chhote bchche aajkal youtube chlate hai videos dekhte hai ye galt hai agr bchche se ek bar kisi glt ad par click ho gya to fir vhi dikhegi or vo kuch bhi ho skti hai....

7. Internet ka galt use :- Aajakl jvan, bchche or budhe internet par porn videos dekhte hai jisse unki soch glt ho jati hai or fir vo vesi hi hrkte krte hai ye sabse bda durupyog hai internet ka. or kuch log to kisi ka video bnakr use upload kar dete hai or kuch log video bnakr blackmel karte hai or paise lut te hai jo ki ek aprad hai....

To Dosto ye the kuch internet ke fayde or nuksan aasa karta hu meri ye post aapke liye helpful rahi hogi....

Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to is post ko share jarur kar dijiyega or agr aap esi hi new information apne Gmail account par chahte hai to mere is blog ko subscribe bhi kar sakte hai thanks....

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने