E Mitra ID ki transaction history kaise dekhe

Hello dosto mera name hai MADANGOPAL/MG.... Dosto aaj ki es post me ham bat karenge E MITRA Transaction history ki Dosto ham E Mitra ID se kiye gye Transaction ki history kaise dekh sakte hai ye me aapko es post me btaunga. Agr aap E Mitra ID se kiye gye Transaction ki history dekhna chahte hai to ye post aapke liye bohat hi helpful hai aap es post ko poora read karke bohat hi aasani se Transaction history dekh sakte hai. Dosto aap har parkar ke kiye gye payment ki transaction history dekh sakte hai chahe vo success ho ya pending.... to chaliye dosto ab suru karte hai.....
Step 1- Sabse pahle aap apni E-Mitra ID me login kar lijiye....
Step 2- Ab aapko es parkar se details bharni hai....
1. sabse pahle aap services par click kare....
2. Ab aap Transaction history par click kare.....
3. Ab aap Payment mode type me WALLET select kar lijiye....
4. Ab aap Transaction status me aap konsa status dekhna chahte hai vo select kar lijiye agr aap sari Transaction history dekhna chahte hai to ALL select kar lijiye....
5. Ab aap kis date ki Transaction history dekhna chahte hai vo aap Report Date me select kar lijiye.....
6. Agr aap Department me koi Department select karna chahte hai to kar sakte hai agr nhi karna chahte hai to ese khali chhod dijiye.....
7. Esme agr aap koi Service select karna chahte hai to kar sakte hai agr koi service nhi hai to ese khali chhod sakte hai....
8. Agr aap Receipt number se Transaction status dekhna chahte hai to yha par Receipt number enter kar dijiye. agr aapke pass Receipt number nhi hai to aap ese khali chhod sakte hai.....
9. Esme aap E Mitra ID select kar lijiye....
10. Ese aese hi chhod dijiye....
11. Ab aap FETCH par click kar dijiye.....
Ab aapke samne all Transaction history show ho jayegi.....

Dosto agr aapko Transaction history check karne me koi bhi problem aa rahi hai to aap mujhe comment karke bta sakte hai....

Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap ese like or share jarur kar dijiyega thanks.....

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने