Aadhar no. anywhere app se SBI bank A/C में कैसे लिंक करे

Hello dosto mera name hai MADANGOPAL/MG..... Dosto aaj ki es post me ham bat karenge SBI Anywhere app ke dvara apne Aadhaar Card ko SBI Bank Account se Link karne ki..... Dosto agr aapka Aadhaar card aapke Bank Account se link nhi hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai kyoki aaj ki es post me ham SBI anywhere app ke dvara aadhar card ko apne bank account se jodenge. Dosto Bank account se Direct Subsidy lene ke liye aapko apna aadhar card number bank account se jodna jaruri hota hai. Par agr ye kam aap offline karoge to iske liye aapko apne Aadhaar card ki copy LPG gas distributor ke pass jakar jama karvani hoti hai. Ya fir apne bank branch me jakar aadhar card ki photo copy jma karvani hoti hai. Uske bad hi aapka aadhar card aapke bank account se link hota hai. Agr aap LPG Distributor or Bank branch nhi jakar paresaniyo ka samna na karke apne aadhar card ko apne bank account se online link karvana chahte hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai aap es post ko pura read karke apne aadhar card ko apne bank account se link kar sakte hai.....
Aadhar card ko bank account se link karne ke fayde .....
1. Pension
2. Scholarship
3. Tribal welfare schemes
4. Direct benefits transfer (DBTL)
5. Subsidy for commodity products
6. Mahatma Gandhi National rura employment guarantee (MNREGA)

Chaliye Dosto ab hm SBI Anywhere App ke dvara apne Aadhar card ko apne Bank account se Link Karte hai.....

Dosto SBI Anywhere aap Android mobile, IOS Mobile or Windows Mobile Phone ke liye available hai. Sab me SBI Anywhere app ka process same hai. Dosto ab ham State bank ki mobile App services SBI Anywhere se apne Aadhaar card ko apne bank account se link karte hai....

Step 1- Sabse pahle aap apne Mobile phone me SBI Anywhere app download karke install kar lijiye.....

Step 2- Ab aap apne SBI Anywhere app me apna net banking user name or password dal kar ke login kar lijiye....

Step 3- Anywhere App me login karne ke bad.....
1. Banking icon par click kar dijiye......
2. Ab Aadhar subsidy par click kar dijiye......
              
Step 4- Ab aapke samne new page open hoga esme aapke samne two options show honge. Aapko Aadhar card link karna hai aap *Link Your Aadhaar Number* par click karke apna Aadhaar card number submit kar dijiyega uske bad aapke pass aek OTP aayega aap use enter kar dijiyega aapka aadhar card successfully link ho jayega.....

Dosto agr aapko SBI account me SBI Anywhere app se aadhar link karne me koi bhi problem aa rahi hai to aap mujhe comment karke bta sakte hai....

Dosto agr meri ye post aapke liye helpful rahi hai to please aap ese like or share jarur kar dijiyega thanks.....

Any Problem Ask Me...

और नया पुराने